sapanon ka gaon...

ae rab!! aaj bata mujhe, yeh pyaar vyaar kya hota hain
yeh dil anzaani rahon main, kya isiliye hi khota hain
tu bata mujhe, tu bata mujhe, main aaj pyaar main paagal hun
sunana chahu tujhse main,kya main woh awaara badal hun

masti karta hun,dhun main rahata hun
zarre zarre, patte patte se , aaj main kyun ye kahata hun
zaldi uthkar, pagal pawan sa , dhuan dhuan main bahata hun
apane man ke laddu khakar, meetha dard sa sahata hun

yeh aaj ladakpan ki masti, pahle kabhi na aayee thi
tere aane se pahle, ik udaasi si chayee thi
main mahak raha hun , chahak raha hun, angaare sa dahak raha hun
peene wale bhi dang hain aise,main bina piye hi bahak raha hun

bas yeh mausam beete kabhi na,kabhi na yeh shaam dhale
jahan tak jaaye meri manzil,wahaan tu mere saath chale
dhoop bahut dekhi hian maine, tere aanchal ki chaon mile
tum-hum, hum-tum, rahate ho jahaan, wo sapanon ka gaon mile !!!

Comments

triyash said…
hey nominated you for The Lemonade Award for showing the wicked side of love...

Popular posts from this blog

janani janma bhoomi swargadapi gariyashi!!!!

Midnight Ramblings

Just a forwarded mail ???