Aaj uthegi megha rani..!!!

gandhiji ne kaha tha
jurm sahana paap hain
ghor anarth,dushkarm
manavata par abhishaap hain!!!

par kuch log
aise hi rahate hian
jurm sahte hian par
kuch na kahte hain !!!


jhaadu pocha kapde paani
ab yahi hain usaki kahani
ladki ek badi sayaani
yahaan naukar, ghar ki raani!!!

patli dubli si
lagti hain straight rekha
kya aapne kabhi
aisi ladki ko dekha???

bas bahut ho gaya
ab nikaal bhay ka ansh
ho jaane de aaj to
gar hota hain vidhwansh!!!

mana ki ladki tu
bholi bhaali hain
par bata de
tujh main bhi ek maa kaali hain!!!

mana dushman bada balwaan hain
par bhool na , tu bhi pahalwaan hain
yeh hi aaj waqt ka aahwaan hain
bhool mat , manushya tu bada mahaan hain!!!

maana dushman ke paas talwaar hain
aur roz hota tujh par waar prahaar hain
utha trishul aur hone de yuddh prachand
aaj to kar de tu dushman ko khand - khand!!!!

ab na ban ke rah gudiya sayani
utha shastra,poch aankhon se paani
ab to khatam kar tu yeh kahani ..
aaj uthegi megha rani ....!!!

Comments

Unknown said…
wOw...


great keep ryting abt more mainframe people...

Popular posts from this blog

janani janma bhoomi swargadapi gariyashi!!!!

Midnight Ramblings

Just a forwarded mail ???