Armaanon ki arthi


ek din hum baithe the apane ghar par
tabhi koi aaya with dupatat sar par
wo boli ki "mammi ghar par hian?"
maine kaha.."aap uchit samay par hain"

aagantuk ne humein gaur se dekha
humne socha"kabhi ladaka nahin dekha?"
khair, auraton ki baaton main kaun sar lagata
bahar baarish thi, hum nikal pade lekar apana chata

ghar par jab hum aaye
to dheere se pitajee muskaye
khaini khate hue wo lage bolane
apane armaanon ke raaj kholane

bole, beta! college bandh ho chuka hian
aajeevika ka prabandh ho chuka hain
ab har koi yahi kahata hain
bina bahu ke aangan suna lagata hain

abhi mrs tiwari aayee thi
tumhare liye apni beti ka rishta layee thi
ladki padhi likhi hian, tum kya kahte ho?
ise umar main sharmaye se kyun rajhate ho?


main mook darshak ban baatein sunata raha
apane armaanon ke sapne bunata raha
par shishtachaar ke naate maine kaha
" itani kya jaldi hain ", aur chup raha

chuppi ko "haan " samjha jata tha
chuppi ka yahi matlab humko aata tha..
par shayad use din "shabdkosh" badal gaya
niraas hua wo jo armaan machal gaya

do sal ho chuke, aaj dost ki shaadi hian
khush the hum, humein to aajadi hain
dulhan ati sunder, dil jale sabke
hamare bhi shaadi ke armaan kuch aise chahke

par abhi asali jhatke ki baari thi
dulhan ki maan , mrs tiwari thi
kaash use din wo chuppi na hoti..
to aaj yeh sunder bivi meri hoti!!!

Comments

Popular posts from this blog

janani janma bhoomi swargadapi gariyashi!!!!

Midnight Ramblings

Just a forwarded mail ???