Modern TV

was getting bored, wrote some lines...

aaj kal tv channels ki haalat par taras aata hain
jaise sab par ek hi baadal baras aata hian
badi hi hasarat se cable ka taar lagaya tha
alag alag program dekhane ka man banaya tha
par jab bhi maine remote ko uthaya hain
sabhi channels ko ek sa hi paya hian
news channels ko arushi bahut bhati hain
aur kuch ko mudrasfiti( inflation rate) bahut satati hain
gaane wale channels par ek se gaane aate ain
baaki saas bahu ko ek hi dhun par nachate hain

kya kabhi hamein dhang ka manoranjan mil payega?
beta - baap ke saath baith tv dekh payega?
kabhi lagata hian doordarshan ka zamana hi accha tha
manoranjan ka har rang tab kitana saccha tha
kya surabhi, rangoli ka zamana wapis aa payega?
shayad kabhi bhoole bhatake hum ise mayajaal se mukti paayen
fir gunjegi galiyaan jab bacche galiyon main nikal aayen..

Comments

Popular posts from this blog

janani janma bhoomi swargadapi gariyashi!!!!

Midnight Ramblings

Just a forwarded mail ???