janani janma bhoomi swargadapi gariyashi!!!!

Ek patthar se duje ne poocha..
ae bandhu kidhar ko chale tum...
to duje ne muskura kar kaha...
aaj tak maine ise gam ko saha..
ab ise bandhan ko todane ki maine bhi thani hain..
naye bharat ki nayee baat maine bhi maani hain..
main bhi to dekhun dusare desh ka sooraj kitana chamkata hain..
jisako dekhane ke liye yahaan ka aadami itana tadapata hain...
to duje patthar ne tapak se kaha...
are bandhu tum bhi aisa karoge...
to ek din sharm se maroge....
are bhed chaal to sab chalate hain...
chand sikkon ke liye to sab machalate hain..
are apane desh main roti ki kahaan kami hain...
par aazadi ke itane dinon baad bhi ....
bharat maata ki aankh main aaj bhi nami hian..
jisake charanon main hind vandan karata hain..
usaka hridaya aaj bhi krandan karata hain..
ruk jaa isase pahale ki bahut der ho jaye..
accha hoga agar subah ka bhoola saanjh se pahale hi aa jaye..

Comments

Popular posts from this blog

Midnight Ramblings

Just a forwarded mail ???