chehare....

kuch aur panktiyaan ...
**********************************
chehara.. ek chehara ..anek chehare..
un cheharon par lage hain kai pahre..
dikhane main bahut lubhavane..
bhole bhale , bahut sayane..chikane chahre,chupre chahre..
bheege se , rupahale chehare..
ek chehare ke hain dus chehare..
kritrim saundarya main lipate chehare..
kahane ko to hain jitane log..
utane nazar aayenge chehare..
nazar utha kar dekh yeh chehare..
utha yeh parde, tod yeh pahare..
aankh se man ki dekh musafir ..
nazar tujhe bas aayege do chehare..
ek chehara jo kroor hian ..
satta ke mad main magroor hain..
wo chehara bahar se bahut accha hain
man se magar shaitan ka baccha hian..
wo chehara un logon ka hain ..
jinmein kapat hain , chal hain aur bas dhokha hain..

doosara chehara sakuchata hain ...
apane haq par bhi sharmata hian ..
wo chehara maan ki duaon ka hain..
wo chehara pita ki aashon ka hain..wo chehara bhole sapanon ka hain..
wo chehara , pawan hain , pavitra hain aur mangal hain..
ghabarata usase sara yah jangal hain ..

ise jangal main aaj gajab dangal chaya hian ..
kapati chehara aaj fir se mandara aaya hain
kapati chehara aarakshan(reservation) lata hain..
bhai bhai ko ladvata hain ...
desh main godhara karwata hain..

par humko hum hi rahana hain ..
jhoothe vaadon main na bahana hain..
hum apana kaam karte jayenge..bharat ko aage le jayenge...
manavata aur smradhi ka parcham hum lahrayenge..
ek acche chehare ko..man se sacche chehare ko..apana chehara banayenge..!!!
Dilip Sanchora 9/5/2008

*******************************************

Comments

Ritumbra said…
bahoth cute tha...
mujae ek chidiyaa aur anek chidiya ki yaad aa gayi !!

but ek serious suggestions hai, mujae bhi mila tha kuch roz pehlae... jabh bhi kuch likho tho uska grammer chk karo.. poem ka grammer hotha hai ... har alphabet aur har matra ko "1" assign karo, count karo k line mai total kithna hua; dusri line mai bhi uthna hi total rakho... agar kahi thodni pade tho thodo !!!

kham kha gyaan dae rahi hun, pata hai mujae buri aadath hai... madam ji hun na !! isliyae !! heheheh

Popular posts from this blog

janani janma bhoomi swargadapi gariyashi!!!!

Midnight Ramblings

Just a forwarded mail ???