Armaanon ki arthi
ek din hum baithe the apane ghar par tabhi koi aaya with dupatat sar par wo boli ki "mammi ghar par hian?" maine kaha.."aap uchit samay par hain" aagantuk ne humein gaur se dekha humne socha"kabhi ladaka nahin dekha?" khair, auraton ki baaton main kaun sar lagata bahar baarish thi, hum nikal pade lekar apana chata ghar par jab hum aaye to dheere se pitajee muskaye khaini khate hue wo lage bolane apane armaanon ke raaj kholane bole, beta! college bandh ho chuka hian aajeevika ka prabandh ho chuka hain ab har koi yahi kahata hain bina bahu ke aangan suna lagata hain abhi mrs tiwari aayee thi tumhare liye apni beti ka rishta layee thi ladki padhi likhi hian, tum kya kahte ho? ise umar main sharmaye se kyun rajhate ho? main mook darshak ban baatein sunata raha apane armaanon ke sapne bunata raha par shishtachaar ke naate maine kaha " itani kya jaldi hain ", aur chup raha chuppi ko "haan " samjha jata tha chuppi ka yahi matlab humko aata tha...